Ahmad Nadeem Qasmi Best Urdu Short Sad Shayari ever

Sham ko subah-e-chaman yad ai
Kis ki Khushbu-e-badan yad ai

Jab Khayalon main koi mor aya
Tere gesu ki shikan yad ai

yYad aye tere paikar ke Khutut
Apani kotahi-e-fan yad ai

Chand jab dur ufaq par duba
Tere lahje ki thakan yad ai

Din shuaon se ulajhte guzara
Rat ai to kiran yad ai