Ahmad nadeem qasmi Ghazal shayari-Sham Ko Subah-E-Chaman Yad Ai

Sham Ko Subah-E-Chaman Yad Ai
sham ko subah-e-chaman yad ai
kis ki Khushbu-e-badan yad ai
jab Khayalon main koi mor aya
tere gesu ki shikan yad ai
yad aye tere paikar ke Khutut
apani kotahi-e-fan yad ai
chand jab dur ufaq par duba
tere lahje ki thakan yad ai
din shuaon se ulajhte guzara
rat ai to kiran yad ai