Beautiful free Online SMS Urdu Shayari of Allama Iqbal

Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
Adawat hai ise sare jahan se

Koi ab tak na ye samjha k insan
Kahan jata hai ata hai kahan se


Wahin se rat ko zulmat mili hai
Chamak taron ne pai hai jahan se


Ham apni dard-mandi ka fasana
Suna karte hain apne razdan se


Bari barik hain waiz ki chalen
Laraz jata hai awaz-e-azan se