Mohsin Naqvi Urdu Ghazal Poetry Thahar jao k hairani to jaye

Thahar jao k hairani to jaye
Tumhari shakl pahchani to jaye

Shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
Hamare ghar ki wirani to jaye

Zara khul kar bhi ro lene do ham ko
K dil ki ag tak pani ho jaye

Bala se tor dalo ainon ko
Kisi surat ye hairani to jaye