Urdu Dard Bhari Heart Touching Sad Ghazal Shayari

Main rutha to wo mana kar geya
Apne saray ehsan bhi jata kar geya

Ye sach hai k wo ehd-shikn tha
Magr kuch waday bhi nibha kar geya

Usay mortiyan banane ka shoq tha
Wo muj ko bhi pathar ka bana kar geya

Milna na milna muqadar ki bat hai
Wo jate jate yeh bat bhi sumjha kar geya

Apna lena mere bad kisi or ko tum
Wo muj se yeh pabandi bhi utha kar geya.