Ahmad Faraz Ghazal-Himmat-E-Iltija Nahin Baqi



Himmat-e-iltija nahin baqi
Zabt ka hausla nahin baqi
Ik teri did chin gai mujh se
Warna duniya main kya nahin baqi
Apni mashq-e-sitam se hath na khench
Main nahin ya wafa nahin baqi
Teri chashm-e-alamnawaz ki khair
Dil main koi gila nahin baqi
Ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
Zindagi main maza nahin baqi