faheem faheem Author
Title: Mohsin Naqvi Ghazal Poetry-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka...

Zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi


Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
Rasta badal k chalne ki adat use bhi thi



Us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi


Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi


Mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
Halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi


Wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
Warna har ek sans qayamat use bhi thi





Advertisement

 
Top