faheem faheem Author
Title: Parveen Shakir Urdu sad Ghazal -chalne kaa hauslaa nahin
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
  chalne kaa hauslaa nahin ruknaa muhaal kar diyaa ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa milte hu’e diloN ke bii...


sad girl and boy

 

chalne kaa hauslaa nahin ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa

milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii
usne magar bichharte vaqt aur savaal kar diyaa

ae merii gul-zamiin tujhe chaah thii ek kitaab kii
ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa

ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal kar diyaa

mumkinaa faislon meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa
hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa

mere laboN men muhr thii par mere shiisha-ruu ne to
shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa

chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa

muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa

Advertisement

 
Top