faheem faheem Author
Title: Ahmad Faraza Ghazal-Hava K Zor Se Pindar-E-Bam-O-Dar Bhi Gaya
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya Chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya Pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale Main d...



Hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
Chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
Pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
Main dubte hua dariya k par utar bhi gaya
Ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
Jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya
Main chup raha k is main thi afiyat jan ki
Koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
Sulagate sochte viran mausamon ki tarah
Kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
Jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
Jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya
Phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya
Magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
Jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

Advertisement

 
Top