faheem faheem Author
Title: Ahmad faraza ghazal-Karon Na Yad Agar Kis Tarah Bhulaon Use
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
karon na yad agar kis tarah bhulaon use gazal bahana karon aur gungunaon use wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind main zakhm-za...


karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use
ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use
magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use
vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use
jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

Advertisement

 
Top