faheem faheem Author
Title: Ghamgeen Poetry - Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
  Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo Khud ko yun bhii aazmaa ke dekh lo duur ho jaayegii din bhar ki thakan merii jaanib mu...

crying sad girl

 

Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo
Khud ko yun bhii aazmaa ke dekh lo

duur ho jaayegii din bhar ki thakan
merii jaanib muskuraa ke dekh lo

phir ubhar aayenge yaadon ke nuquush
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo

bhuul jaayenge tumhin sab aaiine
merii aankhon men samaa ke dekh lo

roshnii baaqii rahegii yaad kii
tum chiraa Ghon ko bujhaa ke dekh lo

zaaiqaa kaisaa hai ye izhaar kaa
apne honTon par sajaa ke dekh lo

 “harf” men hai jis tarah nuqtaa “Raza”
yun mujhe apnaa banaa ke dekh lo

 

Advertisement

 
Top