faheem faheem Author
Title: ghazal Urdu poetry-jab tak deewaane zindaah hain
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Abaad rahenge veeraane, shaadaab rahengi zanjeeren jab tak deewaane zindaah hain, phuulengi phalengi zanjeeren Aazaadi kaa d...

Abaad rahenge veeraane, shaadaab rahengi zanjeeren
jab tak deewaane zindaah hain, phuulengi phalengi zanjeeren

Aazaadi kaa darwaazaa bhii Khud hi kholengi zanzeeren
tukre tukre ho jaayengi jab hadd se baRhengi zanzeeren

jab sabke lab sil jaayenge, haathon se kalam chhin jaayenge
baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareingi zanjeeren

andhoN behron ki nagrii men yuun kaun tawajjoh kartaa hai
maahaul sunegaa, dekhegaa, jis waqt bajengi zanjeeren

jo zanjeeron se baahar hain, aazaad unhen bhi mat samjho
jab haath kaTenge zaalim ke, us waqt kaTengii zanzeeren

ye taur bhi hain sayyaadi ke, ye dhang bhi hain jallaadi ke
Gar aisaa hi maahul rahaa,phaileingi badheingi zanjeeren

majbooron ko tarsaayengi, yuun aur hamen tarpaayengi
zulfon ki yaad dilaayeingi, jab lehraayengi zanjeeren

zanjeereN to haT jayeNgi, haaN, inke nishaaN rah jayeNge
meraa kyaa hai, zaalim, tujhko badnaam kareNgi zanjeeren

le, de k Hafeez in se thiin, ummiid-e-wafaa deewaanon ko
kyaa hogaa jab deewaanoN se naataa toReNgi zanjeeren

Advertisement

 
Top