faheem faheem Author
Title: Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki Ghazal by Ahmad Faraz
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Is qadar musalsal thin shidaten judai ki Aj pahali bar main ne us sa bevafai ki Varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main Y...


Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
Aj pahali bar main ne us sa bevafai ki
Varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
Ya to tut kar roya ya gazalsarai ki
Taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
Aj un se majburan taza ashanai ki
Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnavai ki
Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
Ap se koi puche ham ne kya burai ki
Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
Dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

Advertisement

 
Top