us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahen ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa
ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa
ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt baDhaanaa bahut huaa
ab kyon na zindagii pe muhabbat ko vaar den
is aashiqii men jaan se jaanaa bahut huaa
ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa
kyaa kyaa na ham Kharaab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa
kahataa thaa naasehon se mere muuNh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa
lo phir tere labon pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad ’Faraz’ tujh se kahaa naa bahut huaa