chaand sitaaron se kyaa puchhuun kab din mere phirate hain
vo to bechaare Khud hain bhikaarii Dere Dere phirate hain
jin galiyon men ham ne sukh kii sej pe raaten kaaTii thiin
un galiyon men vyaakul hokar saanjh savere phirate hain
ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii men jokhim hai
chaaron khuuNT baguule ban kar ghor andhere phirate hain
jin ke shaam-badan saaye men meraa man sustaayaa thaa
ab tak aaNkhon ke aage vo baal ghanere phirate hain
koii hamen bhii ye samajhaa do un par dil kyon riijh gayaa
tiikhii chitavan baaNkii chhab vaale bahutere phirate hain
is nagarii men baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hain
log to daaman sii lete hain jaise ho jii lete hain
'Abid' ham diivaane hain jo baal bikhere phirate hain