phuulon kii Tahaniyon pe nasheman banaayiye
bijalii gire to jashn-e-charaagaan manaayiye
kaliyon ke ang ang men miThaa saa dard hai
biimaar nikahaton ko zaraa gudgudaayiye
kab se sulag rahii hai javaanii kii garm raat
zulfen bikher kar mere pahaluu men aayiye
bahakii huii siyaah ghaTaaon ke saath saath
jii chaahataa hai shaam-e-abad tak to jaayiye
sun kar jise havaas men ThanDak sii aa base
aisii koii udaas kahaanii sunaayiye
raste pe har qadam pe Kharaabaat hain "Adam"
ye haal ho to kis tarah daaman bachaayiye
Home
»
Abdul Hamid Adam
»
phuulon kii Tahaniyon
» Abdul Hamid Adam-phuulon kii Tahaniyon pe nasheman banaayiye