Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
Apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua
Mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
Pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua
Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua
Yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main
Lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua