Kuch to ae yaar iLaj-e-Gham-e-Tanhai ho
Baat itni bhi na barr jaye k ruswai ho
Jis ny bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hy
Ab zaroori hy wohi aankh tamashai ho
Doobny walay to aankhon se bhi kab niklay hain
Doobny k liye Lazim nahi gehrai ho
Main tujhay jeet bhi tohfey main nahi dy sakta
Chahta ye bhi nahi hoon teri paspai ho
Koi anjan na ho shehr'e mohabt ka makeen
KASh har dil ki har aik dil se shanasai ho
Yoon guzar jata hy teray koochy se wo
Taira waQif na ho jesay koi saudai ho