Zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
Rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
Us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
Mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
Halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
Wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
Warna har ek sans qayamat use bhi thi