faheem faheem Author
Title: Urdu ghazal poetry -kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj meN hai halqaa-e-sad-kaam-e-nahang ...
beautiful girl

Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj meN hai halqaa-e-sad-kaam-e-nahang
dekhen kyaa guzre hai qatre pe guhar hone tak

aashiquii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuun Khuun-e-jigar hone tak

ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
maiN bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak

yak-nazar besh nahiiN fursat-e-hastii Ghaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

Gham-e-hastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang meN jaltii hai sahar hone tak

Advertisement

 
Top