Abhii farmaan aayaa hai vahan se
ke haT jaaun main apne darmiyan se
ke haT jaaun main apne darmiyan se
yahaan jo hai tanaffus hii men kam hai
parinde ur rahe haiN shaakh-e-jaaN se
parinde ur rahe haiN shaakh-e-jaaN se
dariichaa baaz hai yaadon kaa aur main
havaa suntaa hun peron ki zabaan se
havaa suntaa hun peron ki zabaan se
thaa ab tak m’arkaa baahaar kaa dar-pesh
abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaan se
abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaan se
falaaN se behtar thii Ghazal falan kii
falaan ke zaKhm acche the falaan se
falaan ke zaKhm acche the falaan se
Khabar kyaa duun main shah’r-e-raftugaan kii
ko’ii lauTe bhii shah’r-e-raftugaaN se
ko’ii lauTe bhii shah’r-e-raftugaaN se
yahii anjaam kyaa tujh ko havas thaa
ko’ii puuche to meer-e-daastaan se
ko’ii puuche to meer-e-daastaan se