Mataa'e shaam'e saFar bastiyon main chor aaye
Bujhay charagh hm apny gharon main chor aaye
Bichar k tujh se chaLay ham tho ab k youn bhi huwa
Keh teri yaad kahien raaston main chor aaye
Ham apni Dar_ba'Dari k mushahiday aksar
Nasihaton ki tarha kamsinon main chor aaye
Ghiray hain Lashkar'e adoo main aur sochty hain
Ham apnay teer tho apni safon main chor aaye
Hawa hi din main parinday ura'ye phirti hai
Hawa hi phir se unhain ghonslon main chor aaye
Kisy khabar hai keh zakhmi ghazaL hai kis k liye
Nishaan Lahoo k ghany jangaLon main chor aaye
Hamaray baad bhi raunaQ rahay'gi maQtaL main
Ham ehL'e dil ko baray hosLon main chor aaye