Bicchar ke tujh se terii yaad ke nagar aaye
ke ek safar se ko’ii jaise apne ghar aaye
ke ek safar se ko’ii jaise apne ghar aaye
hamaare saath rukegii hamaarii tanhaa’ii
tumhaare saath gaye jo bhii dar-ba-dar aaye
tumhaare saath gaye jo bhii dar-ba-dar aaye
gumaan bhaTakne lage the pas-e-nigaah magar
chiraaGh duur se jalte hu’e nazar aaye
chiraaGh duur se jalte hu’e nazar aaye
chhaTaa Ghubaar to raahoN meN kitne phuul khile
bajii jo Daff to fasiilon pe kitne sar aaye
bajii jo Daff to fasiilon pe kitne sar aaye
bahaar raas na aayii qafas-nashiinoN ko
uraan bhuul gaye juunhii baal-o-par aaye
uraan bhuul gaye juunhii baal-o-par aaye