Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo
Khud ko yun bhii aazmaa ke dekh lo
Khud ko yun bhii aazmaa ke dekh lo
duur ho jaayegii din bhar ki thakan
merii jaanib muskuraa ke dekh lo
merii jaanib muskuraa ke dekh lo
phir ubhar aayenge yaadon ke nuquush
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo
bhuul jaayenge tumhin sab aaiine
merii aankhon men samaa ke dekh lo
merii aankhon men samaa ke dekh lo
roshnii baaqii rahegii yaad kii
tum chiraa Ghon ko bujhaa ke dekh lo
tum chiraa Ghon ko bujhaa ke dekh lo
zaaiqaa kaisaa hai ye izhaar kaa
apne honTon par sajaa ke dekh lo
apne honTon par sajaa ke dekh lo
“harf” men hai jis tarah nuqtaa “Raza”
yun mujhe apnaa banaa ke dekh lo
yun mujhe apnaa banaa ke dekh lo