Barang-e-bu-e-gul, is bagh k ham ashna hote
k ham-rah-e-saba tuk sair karte, aur hawa hote

Sarapa arzu hone ne banda kar diya hamko
wagarna ham khuda the, gar dil-e-bemudda hote

falak, ai kash! hamko khak hi rakhta, ki us mein ham
gubar-e-rah hote ya kisi ki khak-e-pa hote

ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi khwahish
hamein to sharm daman-gar hoti hai, khuda hote

kahen jo kuch malamatgar, baja hai 'Mir' kya jane
unhen malum tab hota, ki waise se juda hote