Chhatri lagaa ke ghar se nikalne lage hain ham
Ab kitni ehtiyaat se chalne lage hain ham
Is darje hoshiyaar to pahle kabhi na the
Ab kyuun qadam qadam pe sambhalne lage hain ham
Ho jaate hain udaas ke jab do-pahar ke baad
Suuraj pukaartaa hai ke Dhalne lage hain ham
Aisaa nahin ke barf kii maanand hon magar
lagtaa hai yuun ke jaise pighalne lage hain ham
Aainaa dekhne kii zaruurat na thii ko’ii
Khud jaante the ham ke badalne lage hain ham
Is kaa yaqin aaj bhalaa kis ko aayegaa
Ek dhiimii dhimi aanch men jalne lage hain ham