faheem faheem Author
Title: Agar mein bata don mein kia chahti hon-Sad urdu romantic Nazim
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho Mujhey koi kari ...

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay
 
Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay
 
Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay
 
Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay
 
Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay......

Advertisement

 
Top