faheem faheem Author
Title: Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi-Ajnabi poem shayari
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Main usay kaisay akela chor dun is raah main Sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas mai...

Main usay kaisay akela chor dun is raah main
Sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi

Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi

Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi

Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

Advertisement

 
Top