faheem faheem Author
Title: Allama Iqbal ghazal poetry-Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane tere sanam kadon k but ho gaye purane Apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha jang-o-...

Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane

Apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne

Tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane

Patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai

A gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den

Suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den

Dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein

Har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein

Shakti bhi shanti bhi bhakton k git mein hai
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai

Advertisement

 
Top