faheem faheem Author
Title: Allama Iqbal poetry ghazal- Mumkin Hai Ke Tu Jisako Samajhata Hai Baharan
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun...
mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka


hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka


shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka

nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri


ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri


uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri


ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri


tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri


ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri

Advertisement

 
Top