Barham bhii hai vo barsar-e-aazaar-e-kiin bhii hai
halaNke merii be-gunaahii kaa yaqiin bhii hai

ek kash-ma-kash men hai dil-e-ummiidvaar-e-diid
kuch hai bhiii aitbaar-e-nazar, kuch nahiin bhii hai

diivaar-e-baaGh, sahn-e-chaman, shaaKh-e-aashiyaan
aaKhir chaman men mera Thikanaa kahin bhii hai

ashk-e-vafaa kii hai tere daaman se aabruu
yuuN ashk pochne ko merii aastiin bhii hai

is darjaa unke ahd-e-vafaa par huun shaadmaan
jaise vafaa ke ahd kaa mujhko yaqiin bhii hai

itnaa to pahle soch le ai hasrat-e-sujuud
us aastaan-e-naaz ke qaabil jabiin bhii hai?

vo merii arz-e-shauq pe Khaamosh ho gaye
haan bhii is javaab kaa matlab nahiin bhii hai

tanhaaiyaaN hain aur tasavvuur kii lazzaten
yuuN dekhiye to merii shab-e-Gham hasiin bhii hai

le jaauuN kis jagah dil ulfat-shaar ko
kyuuN dosto Khuluus kii pursish kahiiN bhii hai

be-kaifiyoN meN mausam-e-gul bhii guzar gayaa
haaN pairahan men jeb bhii hai aastiin bhii hai

kuch yuun bhii harf-e-shikvaa se na-aashna hain lab
kuch paas-e-Khaatir-e-nigaah-e-sharmgiin bhii hai