Home
»
Ahmad Faraz
»
Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain
»
Urdu Ghazal
» Ahmad faraz Ghazal-Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain
Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain
So us k shehar main kuch din thehar k dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbaad kar k dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hai chasm-e-nazuk us ki
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-e-shayari se shagaaf
So hum bhi moujze apne hunar k dekhte hain
Suna hai bole to batoon se phool jharte hain
Ye Baat hai to chalo baat kar k dekhte hain
Suna hai raat usse chand takta rehta hai
Sitare baam-e-falak se utar k dekhte hain
Suna hai hasher hain us ki ghazal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhte hain
Suna hai din ko usse titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thahar k dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
So us ko surma faroosh ankh bhar k dekhte hain
Suna hai us k labon se gulaab jalte hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar k dekhte hain
Suna hai aaiyna tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain usse ban sanwar k dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki garden main
Mizaaj aur hi laal-o-gauhar k dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasswur se dasht-e-imkaan main
Palang zaaviya us ki kamar k dekhte hain
Suna hai us k badan k taraash aise hain
K phool apni qabayen katar k dekhte hain
Bus ik nazar se lut’ta hai qafila dil ka
So rahrawan-e-tammana bhi dhar k dekhte hain
Suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udher k bhi jalwe idher k dekhte hain
Ruke to gardishen us ka tawaaf karti hain
Chale to us ko zamane thehar k dekhte hain
Kise naseeb k be perahan usse dekhe
Kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar k dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mughalbe hi sahi
Agar wo khuab hai to tabeer kar k dekhte hain
Ab us k shehar main thehren k kooch kar jayen
“FARAZ” aao sitare safar k dekhte hain
Advertisement

Related Posts
- Adeem Hashmi sad Ghazal poetry sms11 Jun 2013undefined
Faasale aise bhii honge ye kabhii sochaa na thaa Saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa ...Read more »
- Best Poetry sad Ghazal By Abdul Hamid Adam11 Jun 2013undefined
Hans ke bolaa karo bulaayaa karo Aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo uskurahaT hai husn kaa z...Read more »
- Abdul Hamid Adam Urdu Best sad Ghazal poetry on Zindagi11 Jun 2013undefined
Ai maigusaaron savere savere Kharaabaat ke gird phere pe phere Badii roshanii b...Read more »
- Abdul Hamid Adam Hindi SMS Sad Ghazal poetry11 Jun 2013undefined
aap agar ham ko mil gaye hote baaG men phuul khil gaye hote Ap ne yuun hii ghuur kar dekhaa ...Read more »
- Urdu Wafa SMS Ghazal Poetry - Us ki Wafa Na Haasil Hui20 May 2013undefined
Dil say wisaal-e-yaar ka armaan bhi gya Dekho jo ghar udas to mehman bhi gya Kar li hai uss ne phi...Read more »
- Urdu Sad ghazal SMS Poetry - Main Mar Jaon Tu19 May 2013undefined
Ek chadar ko rahay mehboob pay bicha dena Main mar jaon to osay mera kafan bana dena Thori...Read more »