Hue hai shaam to ankhon main bus gaya phir tu
Kahan gaya hai mere shehar K musafir tu
Mere misaal k aik nakhal khushk sehra hon
Tera khayal k Shakh-e-Chaman Ka tayar tu
Main janta hon k dunya tujhay badal degi
Main manta hon k aisa nahi bazahir tu
Hansi khushi se bichar ja agar bicharna hai
Ye har muqaam per kya sochta hai akhir tu
Fiza udaas hai, Rut muzmahil hai main chup hon
Jo hosake to chala aa kisi ki khatir tu
Faraz Tu ne usse mushkilon main daal dya
Zamana Sahib-e-Zar Or sirf shayar tu