Ab tak to noor-o-niKhat-o-rang-o-sada kahun
main tujh ko chu sakun to Khuda jane kya kahun
lafzon se un ko pyar hai mafhum se mujhe
wo gul kahen jise main tera naqsh-e-pa kahun
ab justaju hai teri jafa ke jawaz ki
ji chahata hai tujh ko wafa ashna kahun
sirf is ke liye ke ishq isi ka zahur hai
main tere husn ko bhi sabut-e-wafa kahun
tu chal diya to kitne haqaiq badal gaye
najm-e-sahar ko marqad-e-shab ka diya karun
kya jabr hai ke butt ko bhi kahna pare Khuda
wo hai Khuda to mere Khuda tujh ko kya kahun
jab mere munh men meri zuban hai to kyun na main
jo kuch kahun yaqin se kahun barmala kahun
kya jane kis safar pe rawan hun azal se main
har intaha ko ek nai ibtida kahun
ho kyun na mujh ko apne mazaq-e-suKhan pe naz
Galib ko kainat-e-suKhan ka Khuda kahun