Ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna
Ashiq ka apane akhri didar dekhna
kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai
Chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna
Ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
Meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna
Ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
Laga hai mere paon mein a kar dekhna
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
Hoshiyar zinhar khabardar dekhna
Sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
Tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna
Gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar
Is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna
Bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
Ho jayega gale ka kahin har dekhna
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
Grbal kar ke kucha-e-dildar dekhna
Us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir'
Jata hai leke ji hi ye azar dekhna