Pata-pata buta-buta hal hamara jane hai
Jane na jane gul hi na jane, bag to sara jane hai
Lagne na de bas ho to us k gauhar-e-gosh k bale tak
Us ko falak chashm-e-mai-o-khor ki titli ka tara jane hai
Age us mutaqabbar k ham Khuda Khuda kiya karte hain
Kab maujud khuda ko wo magrur khud-ara jane hai
Ashiq sa to sada koi aur na hoga duniya main
Jis k zian ko ishq main us k apna wara jane hai
Charagari bimari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahin
Warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chara jane hai
Kya hi shikar-farebi par magrur hai wo sayad bacha
Tayar urte hawa main sare apni usra jane hai
Mehar-o-wafa-o-lutf-o-inayat ek se waqif in main nahin
Aur to sab kuch tanz-o-kanaya ramz-o-ishara jane hai
Kya kya fitne sar par us k lata hai mashuq apna
Jis bedil betab-o-tawan ko ishq ka mara jane hai
Ashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use
Yar k a jane ko yakayak umr do bara jane hai
Rakhnon se diwar-e-chaman k munh ko le hai chipa ya'ani
Un surakhon k tuk rahne ko sau ka nazara jane hai
Tashna-e-khun hai apna kita 'Mir' bhi nadan talkhikash
Damdar ab-e-teg ko us k ab-e-gawara jane hai