Bakht se koi shikaayat hai na aflaak se hai
yahii kyaa kam hai ke nisbat mujhe is Khaaq se hai

Khwaab men bhi tujhe bhulun tau rawaa rakh mujhse
vo rawaiyya jo hawaa ka Khas-o-Khashaak se hai

bazm-e-anjum meN qabaa Khaaq kii pahnii maine
aur merii saarii faziilat isii poshaak se hai

itnii raushan hai terii subH ke dil kahtaa hai
ye ujaala to kisi deeda-e-namnaak se hai

haath to kaat diye kuuzagaroN ke hamne
mo’azae kii wahii ummid magar chaak se hai