Badan ke donon kinaaron se jal rahaa huun main
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huun main

tujhii pe Khatm hai jaanaan mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huun main

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huunmain

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huun main

maiN Khvaab dekh rahaa huun ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huunmain