faheem faheem Author
Title: Urdu Poems and ghazals of Ahmad Faraz From Tunha Tunha
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Juz teray koi bhi din raat na janay meray Tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar Burg-...

Juz teray koi bhi din raat na janay meray
Tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray

Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
Burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray

ShumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat
Dair tuk rotA raha koi sirhanay meray

Khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee
Looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray

Lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman
Dekh gharat gare dil yeh bhi khazane mere

Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair
Jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray

Kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
Phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere

Kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane mere

Kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta
Baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere

To hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
Mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne mere

Chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz
Juz teray aur koi zaghum na janay meray

Advertisement

 
Top