Hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
Chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

Pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
Main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

Ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
Jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

Main chup raha k is main thi afiyat jan ki
Koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

Sulagate sochte viran mausamon ki tarah
Kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

Jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
Jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

Phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

Magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
Jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya