faheem faheem Author
Title: Sakut-E-Sham-E-Khizan Hai Qarib A Jao
Author: faheem
Rating 5 of 5 Des:
Sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao bara udas saman hai qarib a jao na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa na aitabar-e-j...


Sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao
bara udas saman hai qarib a jao
na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na aitabar-e-jahan hai qarib a jao
rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin
hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao
jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile
yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao
ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin
zamana khakfashan hai qarib a jao
faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho
ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao
'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye
ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao

Advertisement

 
Top