Aisii raaten bhii ka’ii guzrii hain
jab terii yaad nahiin aayii hai
dard siine men machaltaa hai magar
lab pe faryaad nahin aatii hai
har gunaah saamne aa jaataa hai
jaise taariik chaT-Taanon kii qataar
na ko’ii hiilaa-e-teshaa-kaarii
na madaavaa-e-rihaa’ii, na faraar
aisii raaten bhii hain guzrii mujh par
jab terii raah-guzar men saaye
har jagah chaar taraf the chhaaye
kabhii bhaage, kabhii aaye
tuu na thii, terii tarah ke saaye
saaye hii saaye the raqsaan
main na thaa, merii tarah ke saaye
saaye hii saaye the larzaan larzaan
saaye hii saaye terii raahguzaar ke saaye
aisii raaten bhii hain guzrii mujh par
jab terii yaad nahiin aayii hai.